sukut tutne wala hai hadsa hoga main jaanta hun ki phir koi saneha hoga main apne aap ko ruk kar samet lun ab bhi ki is se aage bahut sakht marhala hoga har ek manzar-e-khush-rang be-panah sahi meri nazar mein wahi aks gum-shuda hoga nishan paega apna na is safar mein wo jahan bhi jaega sunsan rasta hoga hamari ruh hamare badan ko tarsegi hamare bich to sadiyon ka fasla hoga na ru-ba-ru kisi khwahish ki tishnagi hogi na us ke honton ka shadab zaiqa hoga hamara zauq-e-hunar hai sadaqaton ka amin hamare haq mein bhala kaise faisla hoga