main dekh hi raha tha ki yak-dam bhanwar phira ghuma sadaf nigah mein us mein guhar phira sidhe subhaw zist samajhna muhaal hai is kaam ko bhi chahiye mujh sa hi sar-phira hum to sada se basta-e-yak-tar-e-chashm hain khadsha sa teri samt se hai tu agar phira yak-dam kisi ki yaad mein aankhen bhar aai thin ek din yunhi khayal su-e-chashm-e-tar phira 'akhtar' zar-e-sukhan ki kisi ko talab nahin main to ise uthae hue dar-ba-dar phira