main der se dhup mein khada hun saya saya pukarta hun sona hun kured kar to dekho mitti mein daba hua pada hun le mujh ko sambhaal gardish-e-waqt tuta hua tera aaina hun yun rabt to hai nashat se bhi dar-asal main gham se aashna hun sohbat mein gulon ki main bhi rah kar kanton ki zaban samajh gaya hun dushman ho koi ki dost mera har ek ke haq mein main dua hun kyun aab-e-hayat ko main tarsun main zahr-e-hayat pi chuka hun taqdir-e-junun pe chup raha main tabir-e-junun pe ro raha hun har ahd ke log mujh se na-khush har ahd mein khwab dekhta hun