jis ka inkar bhi inkar na samjha jae hum se wo yar-e-tarah-dar na samjha jae itni kawish bhi na kar meri asiri ke liye tu kahin mera giraftar na samjha jae ab jo thahri hai mulaqat to is shart ke sath shauq ko dar-khur-e-izhaar na samjha jae nala bulbul ka jo sunta hai to khil uthta hai gul ishq ko muft ki begar na samjha jae ishq ko shad kare gham ka muqaddar badle husn ko itna bhi mukhtar na samjha jae badh chala aaj bahut had se junun-e-gustakh ab kahin us se sar-e-dar na samjha jae dil ke lene se 'salim' us ko nahin hai inkar lekin is tarah ki iqrar na samjha jae