main dhup mein hun tu saya kar de aman mein thandi hawaen mange safar pe niklun to man ka aanchal salamti ki duaen mange meri adalat hai main hi munsif wakil bhi main dalil bhi main khata karun to zamir mera khud apni khatir sazaen mange suna hai pardes mein hai daulat kama ke laun to hogi izzat magar ye dil to hamesha apne watan ki mahki fazaen mange wo jin ko aati hai duniya-dari yahan wahi kaamyab honge magar ye dil bhi hai kitna nadan har ek se ye wafaen mange suna hai chehra bhi aaina hai kahega sach bas yahi khata hai yahan to hai jhut ki hukumat zamana hum se adaen mange hamein na sargam na rag aae hamari aawaz kis ko bhae hamare sheron mein talkhiyan hain zamana mithi sadaen mange hamari dharti sulag rahi hai ki pyasa sawan chala gaya hai suno zara aasman se kah do zamin kali ghataen mange meri ana mujh ko rokti hai main us ke aage jhukun to kaise ghurur us ka to har kisi se khushamaden iltijaen mange