daur-e-khizan mein jashn-e-bahaaran dikhai de ab chaak chaak apna gareban dikhai de kab tak rahenge sahil-o-tufan ke darmiyan kab tak ye zindagi hamein zindan dikhai de mere khuda saza-o-jaza ab yahan bhi ho ye sarzamin bhi adl ka unwan dikhai de is daur-e-gumrahi ki zarurat hai nuh ki sahil-ba-dast phir wahi tufan dikhai de 'manzar' main thak chuka hun yahi dhundte hue is daur-e-na-shanas mein insan dikhai de