main dil mein zaKHm uske phir sulagta chhoD aaya hun

main dil mein zakhm us ke phir sulagta chhod aaya hun
ki sehn-e-gulsitan mein ek sharara chhod aaya hun

kadakti dhup mein baadal barasta chhod aaya hun
main us ki aankh mein ashkon ka dariya chhod aaya hun

bara-e-rozgar aaya to hun pardes mein lekin
kisi ko ghar ki chaukhat par main rota chhod aaya hun

diya le kar chala hun main jahan mein raushni karne
magar apne ghar aangan mein andhera chhod aaya hun

amiron ne bhula dala riwayat-e-qadima ko
magar ghar mein gharibon ke main parda chhod aaya hun

wo jin ke sine mein har dam tassub raqs karta tha
dilon mein un ke bhi ulfat ka jazba chhod aaya hun

nigah-e-bad na pad jae kahin sayyaad ki ya-rab
main apne ghonsle mein ek bachcha chhod aaya hun

use mahrumi-e-qurb-e-wafa ka kya ho andaza
main us ke pas yaadon ka sahaara chhod aaya hun

'hilal' insaniyat jis par pasheman ho ke roti hai
main wo gulshan wo sahra wo ilaqa chhod aaya hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close