jis par jabin jhukai thi wo dar talash kar jis ghar ko tu ne chhoda hai wo ghar talash kar chandi na sona hira na gauhar talash kar uqba mein kaam aae wo zewar talash kar chaqu na saif barchhi na khanjar talash kar jo ho sake to amn ka manzar talash kar kahne pe tere man ko bhala kaise chhod dun tu aisa kar ki dusra shauhar talash kar pardes mein sukun kise milta hai 'hilal' dil ka sukun apne hi ghar par talash kar