main dil pe jabr karunga tujhe bhula dunga marunga khud bhi tujhe bhi kadi saza dunga ye tirgi mere ghar ka hi kyun muqaddar ho main tere shahar ke sare diye bujha dunga hawa ka hath bataunga har tabahi mein hare shajar se parinde main khud uda dunga wafa karunga kisi sogwar chehre se purani qabr pe katba naya saja dunga isi khayal mein guzri hai sham-e-dard akasr ki dard had se badhega to muskura dunga tu aasman ki surat hai gar padega kabhi zamin hun main bhi magar tujh ko aasra dunga badha rahi hain mere dukh nishaniyan teri main tere khat teri taswir tak jala dunga bahut dinon se mera dil udas hai 'mohsin' is aaine ko koi aks ab naya dunga