ek main aur itne lakhon silsilon ke samne ek saut-e-gung jaise gumbadon ke samne mitte jate naqsh dud-e-dam ki aamad raft se khulte jate be-sada lab aainon ke samne hai hawa-e-sair-e-ab aur ajnabi si sar-zamin ud rahi hai khak-e-kohna sahilon ke samne aag jalti hai gharon mein ya koi taswir hai yaadgar-e-jurm-e-adam khakiyon ke samne dushmani rasm-e-jahan hai dosti harf-e-ghalat aadmi tanha khada hai zalimon ke samne chaar chup chizen hain bahr-o-bar falak aur kohsar dil dahal jata hai in khali jaghon ke samne baatin-e-zardar pur-asrar hai jaise 'munir' kan-e-zar ki band haibat mashalon ke samne