main din bhar pahle is duniya ki jaulani mein rahta hun magar phir raat bhar dil ki bayabani mein rahta hun yahan logon ke dil aur chehre har lahza badalte hain mujhe lagta hai main ek dasht-e-imkani mein rahta hun mujhe kuchh fikr-e-farda hai na koi haal ki uljhan ki main to guzre waqton ki pareshani mein rahta hun jo ab tak kar nahin paya khalish jaan-soz hai us ki jo kar baitha hun ab us ki pashemani mein rahta hun mujhe har roz ye duniya nai surat mein milti hai main paiham is shanasai ki hairani mein rahta hun