kuchh dard jagae rakhte hain kuchh khwab sajae rakhte hain is dil ke sahaare jiwan mein hum baat banae rakhte hain aise bhi marahil aate hain is manzil-e-ishq ki rahon mein jab ashk bahate hain khud bhi us ko bhi rulae rakhte hain kya us se kahen aur kaise kahen un rang badalti aankhon se kya shauq umadte hain dil mein kya wahm satae rakhte hain ek baat pe aa kar aaj hamein iqrar ye us se karna pada kab yaad nahin karte us ko kab us ko bhulae rakhte hain sad-rang nazare the jis mein wo dil ka chaman kya tum se kahen kyun us ko ujad ke baithe hain kyun khak udae rakhte hain muhtaj nahin hai kisht-e-jaan mausam ke badalte dhaaron ki kuchh dagh to dil mein be-mausam sau phul khilae rakhte hain aashiq bhi nahin sadhu bhi nahin phir raaz hai kya ye 'mirza'-ji kis aanch se dahka hai sina kya aag jalae rakhte hain