main diya hun mera kaam jalna hai yaro

main diya hun mera kaam jalna hai yaro
in andheron mein bhi mujh ko chalna yaro

barf kab tak rahegi zamin is tarah se
ek na ek din to pighalna hai yaro

qaid khud mein rakha hai use main ne kab se
ruh ko meri ghar se nikalna hai yaro

dhup ki hun kiran main utarti zamin pe
in pahadon se bhi to phisalna hai yaro

yaad karna use bhul jaana khudi ko
aadaton ko meri ab badalna hai yaro

tha main kya aur ab kya hue ja raha hun
aur kitne hi sanchon mein dhalna hai yaro


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close