main dost se na kisi dushmani se darta hun bas is zaban ki be-pardagi se dabta hun main dur dur se khud ko utha ke lata raha ki tut jaun to phir dur tak bikharta hun ye sab ishaare mere kaam kyun nahin aate yaqin ki mang ko rasm-e-guman se bharta hun main itni dur nikal aaya shahr-e-hasti se khud apni zat se akasr lipat ke rota hun abhi zamana mere sath chalne wala hai main is khayal se jita hun aur na marta hun zamana dhund raha hai mujhe makanon mein main shahr-e-zat ke aandhe kuen mein rahta hun hamare raste jab se juda hue hain 'said' main apni zat ko mahsus kar to sakta hun