kiya hai khud hi giran zist ka safar main ne katar liye the kabhi apne baal-o-par main ne yun apni zat mein ab qaid ho ke baitha hun khud apne gird uthae the baam-o-dar main ne badal gae khat o mani kai zabanon ke jab e'tiraf-e-junun kar liya hunar main ne tu meri tishna-labi par sawal karta hai samundaron pe banaya tha apna ghar main ne jo aaj phir se mere baal-o-par nikal aae to teri rah ke katwa diye shajar main ne main us ki zat pe yun tabsira nahin karta ki pure qad se to dekha nahin magar main ne main chand raat ka bhatka hua musafir tha andheri raat mein tanha kiya safar main ne main be-libas to aaya tha ba-libas gaya ye zad-e-rah kamaya rah-e-hunar main ne wafur-e-harf ke wirse ki aarzu mein 'said' suna hai 'mir' aur 'mirza' kabhi 'jigar' main ne