main dur ho ke bhi us se juda nahin hota

main dur ho ke bhi us se juda nahin hota
hamare bich koi fasla nahin hota

baghair us ke ho ehsas-e-zindagi ka safar
ye sochta to hun par hausla nahin hota

wo is tarah se meri zindagi ka hissa hai
is ek his ka badal dusra nahin hota

kiya hai gardish-e-haalat ne mujhe majbur
wagarna zarf chhalakta sada nahin hota

ye sab hai sehr usi nargisi nigahi ka
mujhe tha fakhr kabhi ki nasha nahin hota

na jama karte jo lakdi siyasaton ke giroh
dhuan to shahr se hargiz utha nahin hota


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close