fughan ke sath tere rahat-e-qarar chale nawa-garan-e-wafa himmaton ko haar chale ye kya ki phul khile aur zakhm risne lage mile sukun bhi agar baad-e-nau-bahaar chale ye multafit si nigahen farogh-e-jam ke sath chale ye daur chale aur bar-bar chale hazar barhami-e-zulf-e-yar bhi dekhi tujhe to kakul-e-giti magar sanwar chale khayal-o-ilm ka bhi mol-tol hota hai hamare ahd mein kya kya na karobar chale hayat sath chali kaenat sath chali ajib shan se kuchh log su-e-dar chale wahi to the kabhi chashm-o-charag-e-mahfil-e-gham jo be-qarar se utthe jo ashk-bar chale thake thake se qadam aur tawil rah-e-hayat musafiran-e-adam bojh sa utar chale zamin-e-faiz sitare luta rahi hai 'nazar' ye kya ki aap yahan se bhi sogwar chale