main faqat is jurm mein duniya mein ruswa ho gaya main ne jis chehre ko dekha tere jaisa ho gaya chand mein kaise nazar aae teri surat mujhe aandhiyon se aasman ka rang maila ho gaya ek main hi raushni ke khwab ko tarsa nahin aaj to suraj bhi jab nikla to andha ho gaya ye bhi shayad zindagi ki ek ada hai dosto jis ko sathi mil gaya wo aur tanha ho gaya ek patthar zindagi ne tak kar mara mujhe chot wo khai ki sara jism dohra ho gaya mil gaya mitti mein jab 'afzal' to ye aai sada gir gai diwar aur saya akela ho gaya