use to meri mohabbat ka pas tha hi nahin wo ro raha tha magar wo udas tha hi nahin hamare pas mohabbat thi so use saunpi jo mangta wo raha mere pas tha hi nahin bayan us ne kahani hamare nam se ki hamare zehn mein waisa qayas tha hi nahin hamare pas jo aaya lahu lahu tha wo hamare tan pe bhi koi libas tha hi nahin bichhad ke dil mein bahut se khayal aate hain junun-e-ishq mein koi hiras tha hi nahin sarahte hi gae log mujh ko mahfil mein kalam mera magar us ko ras tha hi nahin ye khwab kya hai ki us se hi dur hota hun wo karwan jo mere aas-pas tha hi nahin hami ne aankh se dariya nikal rakkha tha magar wo dil ki mohabbat-shanas tha hi nahin