main ghazal hun mujhe jab aap suna karte hain chand lamhe mera gham bant liya karte hain jab wafa karte hain hum sirf wafa karte hain aur jafa karte hain jab sirf jafa karte hain log chahat ki kitabon mein chhupa kar chehre sirf jismon ki hi tahrir padha karte hain log nafrat ki fazaon mein bhi ji lete hain hum mohabbat ki hawa se bhi dara karte hain apne bachchon ke liye lakh gharibi ho magar man ke pallu mein kai sikke mila karte hain jo kabhi khush na hue dekh ke shohrat meri mere apne hain mujhe pyar kiya karte hain jin ke jazbaat hun nuqsan nafa ki zad mein un ke dil mein kai bazar saja karte hain fikr-o-ehsas pe parda hai 'haya' ka warna hum ghalat baat na sunte na kaha karte hain