gul bhi khush-talat hai par ai mah tu kuchh aur hai bas us mein aur kuchh hai tujh mein bu kuchh aur hai kahne sunne ka nahin ye waqt ja waiz kahin aalam-e-masti mein apni guftugu kuchh aur hai hur-o-ghilman ki hawas kafir ho jis ko tuk bhi ho aashiqon ke dil ki zahid aarzu kuchh aur hai tokta to main nahin par in dinon nam-e-khuda khub chamke ho tumhaara rang-e-ru kuchh aur hai tasht-o-khanjar gardan-o-sar jama hain mat der kar qasd gar dil mein tere ai jang-ju kuchh aur hai