main guftugu hun ki tahrir ke jahan mein hun mujhe samajh to sahi main teri zaban mein hun khud apni sans ki rukti hai apne chalne se ye kya ghutan hai main kis tang se makan mein hun jila raha hai mare jism ko mera hi kamal main ek tir hun tuti hui kaman mein hun guzar rahi hai mare sar se gahakon ki nigah zara si chiz hun lekin badi dukan mein hun mere qarib se guzra nahin hai sang-tarash mujassama hun main ab tak magar chatan mein hun mujhi mein gunj rahi hai mere sukhan ki sada nawa-e-garm hun main dasht-e-be-zaban mein hun 'adim' baitha hua hun paron ke dher pe main khush is tarah hun ki jaise kisi udan mein hun