mere raste mein bhi ashjar ugaya kije

mere raste mein bhi ashjar ugaya kije
main bhi insan hun mere sar pe bhi saya kije

raat din rah mein aankhen na bichhaya kije
raushni mein to charaghon ko bujhaya kije

aap itna to mere waste kar sakte hain
aap us shakhs ki baaten hi sunaya kije

hath mein jo hai bahaar us ko to aane dije
kaghazon par to hare ped banaya kije

raste dhup se pighle hi chale jate hain
aap baadal hain to phir shahr pe saya kije

qaid-e-tanhai mein kya aaegi koi aawaz
baith kar apni hi zanjir hilaya kije

ja chuka shahr se wo apni udasi le kar
umr bhar ab dar-o-diwar sajaya kije

lijiye tod gaya dam wo sadaon ka dasa
chikhiye ab ki yahan shor machaya kije

phul khilte hain kahan khushk chatanon mein 'adim'
rah ke sang hi aankhon se lagaya kije


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close