main haar kar bhi hua hun isi KHayal se KHush

main haar kar bhi hua hun isi khayal se khush
ki mera apna hai koi mere zawal se khush

ibaadaton mein bhi ye intiha durust nahin
khuda hua hai sada rah-e-e'tidal se khush

thahar thahar ke main aage badhun ya tez chalun
zamana ho nahin sakta hai meri chaal se khush

ye mod hijr se bad-tar hai apne rishte ka
ki pahle jaise nahin hote hum visal se khush

main apne zakhm dikhae bina hi laut gaya
muqabil aaina rakkhe tha wo jamal se khush

uyub auron ke ginte mein jitni pae khushi
nahin hai itna bashar khud ke bhi kamal se khush

koi amir man-o-salwa par bhi ranj kare
koi gharib rahe sirf phiki dal se khush

gale laga liya badh kar ai haq-bayan tujhe
salib aise hui hai teri majal se khush


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close