main hath badhaun kya daman-e-gulistan tak hai rang-e-gul-e-lala nairang-e-bahaaran tak phulon se raha khali daman-e-wafa apna kante hi mile hum ko gulshan se bayaban tak uthte hain bagule to sahra ki taraf jaen diwanon ki duniya hai daman se gareban tak kat jaengi ek din sab aalam ki zanjiren ye qaid-e-musalsal hai majburi-e-insan tak be-soz koi naghma maqbul nahin hota mizrab-e-gham-e-dil ko le jao rag-e-jaan tak kashane gharibon ke sar apna uthaenge mitti ke charaghon ki lau jaegi aiwan tak turfa koi kya jaane gham ahl-e-mohabbat ka jati hai nazar kis ki zakhm-e-dil-e-insan tak