main hi diwana sahi log to farzane hain kyun haqaeq mein mila dete ye afsane hain ek lamhe ko nigah aur taraf bhatki thi warna hum sirf teri did ke diwane hain jis ne dekha na use hosh raha tan-man ka teri aankhen hain ki jadu hain ki mai-khane hain dil mein wo kuchh hai ki lafzon mein ada ho na sake wo samundar to ye tute hue paimane hain ek wo log ki sahraon ko raunaq bakhshen ek hum hain ki bhare shahr bhi virane hain wo bhi din the jo kiya karta tha khud se baaten aaj 'asi' ke bade logon se yarane hain