kab talak hamari sai-e-amal raegan rahe kab tak ghubar-e-dida-o-dil raegan rahe aasuda-bayan to hazaron hain bazm mein lekin wo bad-nasib jo tishna-bayan rahe hai ab zaban-e-khalq unhin ki fasana-khwan kal tak tere itab mein jo be-zaban rahe kya zikr aish-rafta-e-ahd-e-bahaar ka gham bhi mujhe qubul hai gar jawedan rahe kya ehtiyat-e-saghar-o-mina karun ki jab barbaadiyon mein sazish-e-pir-e-mughan rahe 'sufi' chaman mein koshish-e-paiham ke bawajud jo phul nauha-khwan the yunhi nauha-khwan rahe