main hijr-zad hun mujhe sahra dikhai de

main hijr-zad hun mujhe sahra dikhai de
tu aankh bhar ke dekhe to dariya dikhai de

aisa tilism-saz hai gar phunk mar de
sara jahan aankh ko andha dikhai de

ye ehtimam qatl ka kuchh is tarah se ho
maqtal ka rasta mujhe sasta dikhai de

us ko hi din man lo yun bahs mat karo
jo bhi nabi ki pusht pe baitha dikhai de

is ko khizan ke daur mein baghi samajh ke chum
jo bhi shajar pe aakhiri patta dikhai de

yun ban sanwar ke mil mujhe kuchh to khayal kar
aisa dikhai de mujhe waisa dikhai de


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close