main hujum-e-gham se ghabraya nahin koi lamha garche ras aaya nahin waqt ki badli hui qadron ke sath zindagi mein inqalab aaya nahin jin ki zulfon ka raha hun main asir un ki yaadon ne bhi tadpaya nahin chamka hai har lamha ummidon ka chand waqt ki gardish ne gahnaya nahin bad-nasibi dera dale hi rahi phir bhi kuchh logon ne thukraya nahin jis ke dar par muddaton sajda kiya us ne bhi kuchh faiz pahunchaya nahin