main hun ek kaghaz-e-qalam-bezar baad-e-sarsar mein barg-e-nam bezar arabi log hain to hone do wo khuda to nahin ajam-bezar dekh kar bol chehre-bushre se nazar aata hun kya sitam-bezar ai gurezan-e-abla-pai! dasht-e-majnun hai qadam-bezar ek dil-e-muztarib hai pahlu mein aur sina hai ek-dam bezar rashk-e-shana se pech khata hun main giraftar-e-zulf-e-kham bezar mustarad daftar-e-tarab mein hua ek ummid-war-e-gham bezar mujh se bezar kul jahan hai 'shafaq'! main bhi khud se nahin hun kam bezar