main hun khamosh magar bol raha hai mujh mein aisa lagta hai koi aur chhupa hai mujh mein mujh se dilli ki nahin dil ki kahani suniye shahr to ye bhi kai bar luta hai mujh mein tujh ko chahat hai wafa ki to mujhe ghaur se padh wo kitabon mein kahan hai jo likha hai mujh mein muskuraata hua maqtal se guzar aaya hun zindagi teri koi khas ada hai mujh mein ye alag baat ki alfaz hain mere lekin sach to bas ye hai ki teri hi sada hai mujh mein mere sheron se bikhar sakte hain us ke gesu tera andaz bhi ai baad-e-saba hai mujh mein lakh khamosh sahi sari fazaen 'mansur' bolne wala magar bol raha hai mujh mein