main hun meri chashm-e-tar hai raat hai tanhai hai dard mera ham-safar hai raat hai tanhai hai jugnuon se sath chalne ki guzarish kijiye hijr ka lamba safar hai raat hai tanhai hai phir wahi yaaden wahi aansu wahi aah-o-fughan phir wahi diwar-o-dar hai raat hai tanhai hai doston ki bhid ko masrufiyat mein kho diya aaj fursat baam par hai raat hai tanhai hai tujh ko pane ke junun mein hum wahan tak aa gae khud ko ab khone ka dar hai raat hai tanhai hai