tamam galiyon mein matam bapa tha jangal ka yahan zarur koi silsila tha jangal ka likhi thin wahshaten sahra ki meri aankhon mein kitab-e-dil mein waraq khul raha tha jangal ka hamare shahron mein ab roz hota rahta hai wo waqia jo kabhi waqia tha jangal ka wo is taraf ki pahadi pe mithe jharne the pa darmiyan mein rasta ghana tha jangal ka mujh ek shahr mein aisa bhi tha udas koi hamesha mujh se pata puchhta tha jangal ka kisi ke sath ne insan bana diya hai ise wagarna dil ye kabhi bhediya tha jangal ka jahan pe khatm thi insaniyat ki had 'athar' wahan pe dekha to ek rasta tha jangal ka