main hun wo aankh jise khun-e-jigar le dube main wo nala hun jise us ka asar le dube main hun wo raat sitare jise gahra kar den main hun wo bazm jise raqs-e-sharar le dube wo mai-e-tund hun main jis se jigar char jae main wo dariya hun jo apna hi guhar le dube wo sanam main ne tarashe ki khuda chaunk uthe main wo aazar hun jise mashq-e-hunar le dube gard ko bhi na pahunch sakte the rahzan jin ki unhin manzil se bhi aage ke safar le dube wo jo phirte the khabar tirgiyon ki lete idhar aae to kai chand udhar le dube kaise khamosh andheron mein chhupe baithe hain aise andher ki ummid-e-sahar le dube ibn-e-adam ki to bu tak na rahi galiyon mein meri basti ko khudaon ke ye ghar le dube nam-lewaon ko apne kabhi khalwat mein parakh is tamashe ko yahi shoabda-gar le dube mere hamraaz ne kya khub kaha tha 'rahil' tujhe mumkin hai yahi zauq-e-nazar le dube