hum ruh-e-kaenat hain naqsh-e-asas hain hum waqt ka khamir zamane ki bas hain tanha hain hum tamam na qurbat na fasle hum aap ke qarib na hum apne pas hain kab se tange hue hain khalaon ke aas pas kab se ye aasman ke sitare udas hain khud hat gae hain dur wo pani ke zor se dariya ke wo kinare jo dariya-shanas hain khud-raw hain hum hamein na khizan se daraiye sahra ke mast phul hain jangal ki ghas hain kitni bahaaren aa ke chaman se guzar gain hum hain ki ek gul ke liye mahw-e-yas hain jin ke badan pe atlas-o-kamkhab hai 'samad' sach puchhiye to log wahi be-libas hain