main hun ya tu hai khud apne se gurezan jaise mare aage koi saya hai khiraman jaise tujh se pahle to bahaaron ka ye andaz na tha phul yun khilte hain jalta ho gulistan jaise yun teri yaad se hota hai ujala dil mein chandni mein chamak uthta hai bayaban jaise dil mein raushan hain abhi tak tere wadon ka charagh tutti raat ke tare hon farozan jaise tujhe pane ki tamanna tujhe khone ka yaqin tere gesu mere mahaul mein ghaltan jaise waqt badla pa na badla mera mear-e-wafa aandhiyon mein sar-e-kohsar charaghan jaise ashk aankhon mein chamakte hain tabassum ban kar aa gaya hath tera gosha-e-daman jaise tujh se mil kar bhi tamanna hai ki tujh se milta pyar ke baad bhi lab rahte hain larzan jaise bhari duniya mein nazar aata hun tanha tanha margh-zaron mein koi qarya-e-viran jaise gham-e-jaanan gham-e-dauran ki taraf yun aaya jaanib-e-shahr chale dukhtar-e-dahqan jaise asr-e-hazir ko sunata hun is andaz mein sher mausam-e-gul ho mazaron pe gul-afshan jaise zakhm bharta hai zamana magar is tarah 'nadim' si raha ho koi phulon ke gareban jaise