piya karte hain chhup kar shaikh ji rozana rozana chale aate hain aadhi raat ko mai-khana rozana mohabbat jaan bhi deti hai tarsati bhi hai yaro kabhi paimana barson mein kabhi paimana rozana pareshan hun kanwal jaisi ye aankhen chum lene do ki in phulon pe mandlayega ye bhaunra na rozana sharabon ko na jaane log kyun badnam karte hain ki main to mar gaya hota agar pita na rozana kabhi chilman utha kar dekh to lo baat mat karna ki dil thame hue aata hai ek diwana rozana kisi din bazm-e-saqi se nikale jaoge 'qaisar' nibhaoge kahan tak thath ye shahana rozana