main hun zalim ki aan-ban se khush warna hai kaun aasman se khush na-khushi ka khayal tha lekin wo hue meri dastan se khush is tarah bas mein aa gaya koi kar liya main ne phul pan se khush is qadar gham hai mere qatil ko jis qadar main hun imtihan se khush khak pahunchega wo sar-e-manzil jo musafir hua takan se khush ek ko jhidki ek ko dhamki kaun hai aap ki zaban se khush chhod kar dil ko dard jae kahan ye makin hai isi makan se khush pas koi pahunch nahin sakta is liye hain wo pasban se khush jaan-o-dil donon aap le jaen main hun sau dil hazar jaan se khush saqi-e-mai-farosh rahta hai apni chalti hui dukan se khush 'nuh' ko chain umr bhar na mila kya hon wo apne imtihan se khush