tum ne sach bolne ki jurat ki ye bhi tauhin hai adalat ki manzilen raston ki dhul huin puchhte kya ho tum masafat ki apna zad-e-safar bhi chhod gae jaane walon ne kitni ujlat ki main jahan qatl ho raha hun wahan mere ajdad ne hukumat ki pahle mujh se juda hua aur phir aks ne aaine se hijrat ki meri aankhon pe us ne hath rakha aur ek khwab ki mahurat ki itna mushkil nahin tujhe pana ek ghadi chahiye hai fursat ki hum ne to khud se intiqam liya tum ne kya soch kar mohabbat ki kaun kis ke liye tabah hua kya zarurat hai is wazahat ki ishq jis se na ho saka us ne shaeri mein ajab siyasat ki yaad aai to hai shanakht magar intiha ho gai hai ghaflat ki hum wahan pahle rah chuke hain 'salim' tum ne jis dil mein ab sukunat ki