main isi khak se hun ghar bhi isi khak mein hai meri parwaz magar wusat-e-aflak mein hai kya lagaega mere taj-e-junun ki qimat kya ba-juz sang-o-khazaf daman-e-idrak mein hai abr ko aag bujhane se jo badh kar roke itni parwaz kahan shoala-e-saffak mein hai chahiye hi nahin mujh ko koi shahana libas meri izzat isi pairahan-e-sad-chaak mein hai sadgi ne mujhe rakkha na kahin ka warna chand taron ka jahan bhi meri imlak mein hai qaid kamre mein rahun ya kisi maidan mein rahun aisa lagta hai mujhe koi meri tak mein hai jis ke hone pe nahin milta hai dariya ka mizaj itna pani to mere dida-e-namnak mein hai apne daman se chhudaya tha kabhi tu ne jise phir wahi rang numayan teri poshak mein hai kya koi lal-e-badakhshan bhi chhupa hai 'yawar' raushni kis liye itni khas-o-khashak mein hai