numu ki aag se mitti tahi thi karte kya zamin ki kokh se diwar-o-dar ubharte kya wo aasman pe kahin tha zamin par hum the hamare hath kabutar ke par kutarte kya nazar thi abr ki fankariyon mein khoi hui to hum khayal ke khakon mein rang bharte kya pasand aa gain sahra-nawardiyan hum ko junun-nawaz thi fitrat khirad pe marte kya khala ka rizq the aakhir khala ke kaam aae falak se aa ke sitare zamin pe karte kya hum aise sahl-pasandon se dur rahte hain jidhar thi bhid usi rah se guzarte kya jamal-e-sada ke shoalon se jal rahe the khayal wo yunhi husn ka mear the sanwarte kya kisi tilism ne zehnon ko bandh rakkha tha hum apne aap mein kab the kahin thaharte kya shikastagi ke kuchh asbab chahiyen 'yawar' chala na sang koi tutte bikharte kya