main jaanta hun kaun hun main aur kya hun main duniya samajh rahi hai ki ek parsa hun main ab mujh mein aur tujh mein koi fasla nahin tu mera muddaa hai tera muddaa hun main waiz jabin-e-shauq jhuke to kahan jhuke naqsh-e-qadam hi un ke abhi dhundhta hun main dil ko tajalliyat ka markaz bana liya ab un ka nam lene ke qabil hua hun main naseh teri nigah mein baada-parast hun mai-kash samajh rahe hain bada parsa hun main fursat mile kashakash-e-duniya se to kahun kis wahm kis guman mein uljha hua hun main ahl-e-khirad ki aql pahunchti nahin jahan 'wasfi' junun mein aisi jagah aa gaya hun main