main jab bhi koi manzar dekhta hun zara auron se hat kar dekhta hun kabhi main dekhta hun us ki rahmat kabhi main apni chadar dekhta hun nazar ka zawiya badla hai jab se main kuze mein samundar dekhta hun kabhi mere liye the phul jin mein ab un hathon mein patthar dekhta hun sabhi hain mubtala-e-khud-farebi ajab duniya ka manzar dekhta hun nahin badlaw ke aasar kuchh bhi abhi haalat abtar dekhta hun muqaddar mein likhi viraniyon mein zara sa rang bhar kar dekhta hun nazar aata hai madfan khwahishon ka kabhi jab apne andar dekhta hun suna hai aag hai us ka sarapa chalo bahon mein bhar kar dekhta hun basirat mujh mein hai 'nayab' aisi main har qatre mein gauhar dekhta hun