main jab bhi talib-e-namus hone lagta hun nae libason mein malbus hone lagta hun dikhane lagta hai wo khwab aasmanon ke zamin se jab bhi main manus hone lagta hun jalaya jis ne mera ghar usi diye ke liye hawa chale to main fanus hone lagta hun uchhaal deta hai patthar wo thahre pani mein main pur-sukun jo mahsus hone lagta hun ye kis ki pyas ki khatir kabhi kabhi 'jawed' main ek qatre se qamus hone lagta hun