safar bhi jabr hai na-chaar karna padta hai adu ko qafila-salar karna padta hai gale mein dalni padti hain dhajjiyan apni aur apni dhul ko dastar karna padta hai banana padta hai sochon mein ek mahal aur phir khud apne hath se mismar karna padta hai na-jaane kaun si majburiyan hain jin ke liye khud apni zat se inkar karna padta hai koi bhi masala phir masala nahin rahta zara zamir ko bedar karna padta hai banana padta hai apne badan ko chhat apni aur apne sae ko diwar karna padta hai hamari gardanen mashrut hain so in ke liye saron ko kham sar-e-darbar karna padta hai