main jab tere ghar pahuncha tha tu kahin bahar gaya hua tha tere ghar ke darwaze par suraj nange panw khada tha diwaron se aanch aati thi matkon mein pani jalta tha tere aangan ke pichhwade sabz darakhton ka ramna tha ek taraf kuchh kachche ghar the ek taraf nala chalta tha ek bhule hue des ka sapna aankhon mein ghulta jata tha aangan ki diwar ka saya chadar ban kar phail gaya tha teri aahat sunte hi main kachchi nind se chaunk utha tha kitni pyar bhari narmi se tu ne darwaza khola tha main aur tu jab ghar se chale the mausam kitna badal gaya tha lal khujuron ki chhatri par sabz kabutar bol raha tha dur ke ped ka jalta saya hum donon ko dekh raha tha