ye sust hai to phir kya wo tez hai to phir kya natiwe jo hai to phir kya angrez hai to phir kya rahna kisi se dab kar hai amn ko zaruri phir koi firqa haibat-angez hai to phir kya ranj o khushi ki sab mein taqsim hai munasib babu jo hai to phir kya changez hai to phir kya har rang mein hain pate bande khuda ke rozi hai painter to phir kya rangrez hai to phir kya jaisi jise zarurat waisi hi us ki chizen yan takht hai to phir kya wan mez hai to phir kya mafqud hain ab is ke sunne samajhne wale mera sukhan nasihat-amez hai to phir kya