main jawab un ko kya dun jo sawal puchhte hain mujhe kar ke khud pareshan mera haal puchhte hain koi aisa sar-phira hai koi aisa mubtala hai meri aashiqi ki de kar wo misal puchhte hain kisi ek sawal ka bhi na jawab de sakenge sar-e-bazm har kisi se jo sawal puchhte hain tera zauq-e-ashiqana hua kab jawan batana wo ba-sad-niyaz-mandi sin-o-sal puchhte hain nahin sab ke puchhne ki koi baat is mein 'hasrat' jo rafiq hain wo aksar mera haal puchhte hain