main ji raha hun tera sahaara liye baghair ye zahr pi raha hun gawara kiye baghair bikta na kash ishq ki qimat liye baghair main un ka ho gaya unhen apna kiye baghair waqif to hun wafa ke natije se ham-nashin banti nahin hai un pe bharosa kiye baghair kya zindagi hai ahl-e-gulistan ki zindagi gul hans rahe hain chaak-e-gareban siye baghair din-raat hum ne gham ki hifazat to ki magar duniya na rah saki hamein ruswa kiye baghair marne ki aarzu mujhe muddat se hai magar lekin ye kaam ho nahin sakta jiye baghair un ki nigah-e-mast ke sadqe mein muddaton ek be-khudi ka daur raha hai piye baghair barq-e-chaman hudud-e-chaman se nikal ke dekh tarik ek aur bhi ghar hai diye baghair ai 'raj ras aa na saki mahfil-e-hayat hum aa gae the kis ki ijazat liye baghair