zindagi ki sakht rahon se guzar jaane ke baad chand aankhen ro rahi hain mere mar jaane ke baad bas yahi to soch ke main tut kar bikhra nahin kyun sametega mujhe koi bikhar jaane ke baad mahw-e-hairat hain malak jab uljhi zulfen dekh kar dhaegi ab tu qayamat ban-sanwar jaane ke baad pastiyan tera muqaddar ban gai hain aaj-kal ye saza hai meri nazron se utar jaane ke baad ja rahe ho chhod kar 'mazhar' use to soch lo phul mein lauti hai kab khushbu bikhar jaane ke baad